Acharya the backbone for success
10 August 2025
| Story_Kamyabi Ki Kahani |
|---|
Mera naam Rehnuma hai, mei ek acharya hoon aur Career JK mei dakhil hokar kam ki sharoowat ki hai. Ek acharya ban kar Career JK June 2025 mei dakhil huyi.
Mei nei iss organization key saath ye kam acharya bankar sharoo kiya, mujey iss foundation ke saath kam karke acha laga ek acharya banker, mera gaon ek acha gaon hai lekin choti umar mei bachoo ko taleem dena thoda ghar waloo ko mushkil hota hai aur bohut sey ghar key halat b aise hai ki taleem dena unn key liye bada mushkil hota hai, to mei nei soncha ye organization iss kam ko karnei mei hamari madad kar sakta hai aur aisa hi huwa jis ka shayad unn ko intizaar thaa jo ye chahtey they.
Yahan pey baat karnei ki koshish karti hoon ki merey School ke halat kharab theyy yahan pey _ na proper furniture, na labs, aur na hi bachoo mein koi shauq tha padhai ka. Zyada tar bachay ya to school miss karte ya phir sirf attendance puri karte they.
Lekin mei nei soncha aur ye yakeen thaa acharya banker agar acharya dil se, dil ki gehrayi sey, apni lagan sey,apna pura waqat dekar koshish karei to yakeenan ek bachey ki zindagi hi nahi balki purey samaj ko badal sakti hai.
Mei Rehnuma aap ko yaha pey ek bachey ki kahani batanei ki koshish kar deti hoon, mera ek class thaa aur uss mei ek bacha Ahmed thaa, jo bohut kamzor thaa aur sharmela b, na koi sawal karta thaa aur na kabi kuch bolta thaa, bas khamosh hua karta tha, balki har kam mei pechey hi na ki aagey aata. Log unn ko ek nakaama bacha pukartey they, Lekin Ahmed naam key bachey mei Acharya nei ek chamak dekh kar mehsoos ki.
Acharya nei uss bachey par aisa bartaw kiya aur unn ko dherey dherey uss ko samja samja kar motivate karna sharoo kiya aur apna kuch aur samei dekar choti choti zamadari di, aur acharya nei bina uss key home work “yanei ghar pey school ka kam” na karnei par b tareef ki aur home work karwata gaya, aur uss ko encourage kiya ki Ahmed aap apne sapnei likhe. To yahi waqt thaa jab Ahmed nei pehli baar apne dil ki baat keh daali ki mei Ek “” banna chahta hoon.
Ye baat sun kar Acharya nei kuch aur waqt nikal kar uss ko aur waqt dekar tayar karna sharoo kiya. Muft mei tuition dekar mehnat karwayi aur unn key maa baap ko b ek nasihat ki aap b apne bachey mei thoda aur support karei taki wo apne mission ki manzil ko paa sakey. Uss ka jo khwaab hai wo pura ho jayei.
Achaya nei jo mehnat ki wo rang layi aur do saal baad Ahmed board exams mei top ki level paas kargaya. Uss bachey ki kahani akhbar mei chapi, jis bachey ko nikama kaha jata thaa wo top kargaya. Mehnat kabi rayigaa nahi jati, mehnat sey phool hi khiltey hai, na ki kantey. Yahi nahi iss bachey nei aagey menat jari rakhi aur engineering khwaab jo thaa wo pura kiya aur ek acha engineer banker university mei gold medal b hasil kiya.
Aaj Ahmed ek mashoor engineer hai aur apne ustaaad acharya ka naam b roshan kiya aur apne maa baap ka sar b uncha kiya. Ye mehnat ek achariya ki hai.
Ek Acharya jab mehnat wa lagan dil sey karey to ek acha sitara bansakta hai, samaj mei jo burayaa hai wo b khatam ho jaye gi, jo koi b burayi ird gird mei ho wo b acharya ki mehnat aur lagan sey khatam ho jaye gi.
Agar aap b ek Acharya banna chahtey hai to ek acha acharya bankar kaam karna sharoo karei.
“Ek acharya sirf dars nahi deta, wo ek soch badalta hai. Agar acharya chahe, to aik bachey ko chamka kar poore samaaj mein roshni phaila sakta hai.”
for more related posts like jobs, admissions, results, admit cards, syllabus, answer key….



