Dry Leaf
23 August 2025
Hawaa ki tez daar talwar nei darakhit ke tamam patey darakhit sey juda kar diye they. Sirf yahi ek pat thaa jo ab bi akhri sansei le raha thaa. Udhaid umar ka ye buda pata jis ka chehra fiq ho chukka tha. Qabr ke kinarey puhanch kar bi zindagi ke maidaan ki taraf apnea naish ko khainch lanei mei masarat mehsoos kar ke tibal masarat baja raha thaa. Magar chand roz sey wo kafi magmoom wa pareshan thaa. Yun to wo apni puri taqat ke saath tehni ko thama hua thaa. Magar hawa ka ek maimuli sa jhonka bi iss key wajood tak ko b larz deta thaa. Wo ekdam chilanei lagta thaa aur roz ki tarah wo aaj bi chilanei laga. Issi darakhit par bethi ek chidyaan nei ye dard bari cheekh sun li. Chidyaa nazdeek aayi aur marahmat ke saath waja tasmia poochnei lagi. Sukha pata bechara dil ka boj halka karnei laga. “ Behen chidya _ mei iss tehni se juda nahi hona chahta hoon. Meri jawani iss se judi huwi hai mei abi zinda rehna chahta hoo. Mujey suhara dey khudara mujey suhara dey……”
Bai kon hai jo zinda nahi rehna chahta hai. Magar mout ke senei mei dil nahi jo ansoo bahanei sey pigal jayei aur mout taras khayei gi, iss duniya ka ashraful makhlookaat yanei insaan b marna nahi nahi chahta magar mout ke samnei is ski ek b nahi chalti hai. Hazroo aur lakhoo logo nei mout ke samnei daman fela kar zindagi ki beekh mangi magar siya dil mout nei apnea khonkar hathoo inhai daboch lenei mei hi lutuf hasil kiya hai. Bahar ke baid payami khazaaan sunna hi padta hai. Aap ki jawani khatam ho chuki hai. Budapa b akhri marhaley se guzar raha hai. Lahza aap ko mout ke hathoo se koi bi bacha nahi sakta hai.
“ Behen khudara aisa na kaho , aisa na kaho…….mei pagal ho raha hoon……….meri umar itni kaha hai ki mei buda ho chukka hoon, haan albata merey quwa muzmil ho chukey hai aur mei buda dikhta hoon.”
“ Haan zindagi key pul key nichey sey pani kitni saraet sey beh raha hai ki aap ko iss ka ehsaas bi nahi. Uff ye zindagi ….jo sirf parchayi hai haqeeqat nahi. Jo sirf ek padaw hai. Magar manzil nahi…….”
“ Pyaari chidyaan ……mujey sahara dei mera mera wajood larznei laga hai. Dekh wo hawa kitez daartalwar issi janib bad rahi hai……mujey sahara dei…..aey kash iss gadi sey pehley mujey zindagi ki haqeeqat ka ehsaas ho jata to shayad mei apnea aap ko iss qadr kamzor nahi pata……” hawa aagey badnei lagi aur ek maimuli sa jhatka laga kar iss sukhey patey ko darakhit sey alag kar gayi…. Chidya nei ek lambi aah barli….. magar wo sukha pata dam tra kehkr rukhsat ho chukka thaa.
Article on zindagi
Blog on life
Life is going on going on and going on
Career JK.in